Switch Off Laptop Se Mobile Charge Kaise Kare

Aap sabhi logo ne on Computer ya laptop se apna mobile phone usb ke dwara charge karte honge lekin kya aapko pata hai ki hum band (off) computer ya laptop se bhi mobile charge kar sakte ho.Haan ye bilkul possible hai aur dosto In this post me hum yahi janne wale hai ki Switch off computer se apna phone charge kaise kar sakte hai,To chaliye jante hai.


Band (Off) Computer ya Laptop Se Mobile Charge Kaise Karte Hai?


Dosto agar aap ye soch rahe rahe hai ki mai jo share kar raha hun yah koi trick hai to dosto mai aapko bata dun ki yah koi trick nahi balki computer ka hi ek features hai But iske baare me bahut jyada logo ko nahi pata hota hai.Agar Aap bhi Apne pc ya laptop ko off karke mobile charge karna chahte ho to Aap niche bataye gaye saare steps ko dhyan se follow kare.

Step 1:

1.Sabse pahle aap my computer par right click kare,Properties par click kare.

Step 2: Iske bad ek windows open hogi.

1.Device Manager par click kare.


Step 3: Ab fir se ek or popup windows open hogi. Yaha par aapko bahut sare options dikhayi denge.

1.Isme Universal Serial Bus Controllers par click kare.

2.Uske bad USB Root Hub par click kare.


Step 4: Ab jo windows open hogi usme USB Root Hub ki properties display hogi.

1.Last option Power Management select kare.

2.Ab Allow The Computer to Turn Off this Device to Save the Power jo tick laga hua hai use remove kar de.Means is option ko untick kar de.

3.Finally, OK button par click kar setting save kare.


Congratulations! Ab aap apne computer ya laptop se USB cable ke through apna mobile charge me laga sakte hai or apne PC ko shutdown kar sakte hai. Ab aapke computer ke off rahne ke bad bhi aapka mobile charge ho raha hoga.

Ab mai samjhta hun ki Aaj se Aapko mobile charge karne me koi bhi problem nahi hogi aur aap ghar me light chale jane ke baad bhi apne PC se smartphone charge kar karlenge.

Ab aapko charger na milne ya uske kharab hone par pareshani uthani nahi padegi.Agar aapko ye post pasand aaye to social media par apne dosto ke sath share jarur kare.

3 comments:

  1. बहुत ही Cool Trick शेयर की है आपने.. इस post से मुझे कुछ नहीं सीखने को मिला.. सहरे करने के लिए धन्यवाद.

    ReplyDelete
  2. जानकर खुसी हुई आप इस ब्लॉग को daily पढ़ते रहे thanks for comment

    ReplyDelete
  3. Very amazing trick thanks for sharing

    ReplyDelete