Android Mobile Se Youtube Video Editing Karne Ke Liye Best 3 App

Dosto kafi YouTuber ki ye problem hoti hai ki wah youtube ko apne mobile se hi handle karte hai aur aise me wah log apni video ko achi tarah editing nahi kar pate hai to dosto ab aapko pareshan hone ki koi jarurat nahi hai kyuki is post me main aapko top 3 aise android App ke baare me bataunga jiske through aap apne video ko jaisa chahe waisa edit kar sakte hai to chaliye direct topic par aate hai.

 Android Mobile Se Youtube Video Editing Karne Ke Liye Best 3 A

Android Mobile Se Youtube Video Editing Karne Ke Liye Best 3 App


1.FilmoraGo

FilmoraGo ek bahut hi acha video editing app hai aur is app ko kafi jyada people like karte hai kyuki iski features bahut  hi kamaal ki hai.Is app ko mai bhi use karta hun aur aapko bhi use karne ke liye recommend karunga.

FilmoraGo aap se aap square 1:1 videos Instagram, ke liye aur 16:9 videos Youtube ke liye, Trimming, Cutting,Adding themes,Music,create reverse videos, add transitions, slow motion, text, etc.

FilmoraGo app se aap editing karne ke baad aap use gallery me save karne ke alawa directly kisi bhi social networking site par share bhi kar sakte hai.Yah video ke end me watermark deta hai yadi aap chahe to watermark ko remove bhi kar sakte hai isko paid version me upgraded karke.

2. Adobe Premiere Clip

Adobe Premiere Clip bhi acha application hai video edit karne ke liye apne Android device me aur ye app automatically video create karta hai aapke liye aapke kisi bhi photo se jo aap choose karte hai.

Is Application se aap apne video ko cutting, trimming, adding transitions, music, filters, effects, ke alawa bhi bahut kuch kar sakte hai.Yah download karne ke liye free hai ur is app me koi bhi advertise display bhi nahi karta hai.

3.Inshot

Inshot application bhi youtube video editing karne ke liye best hai yadi iski feature ki baat kare to aap is app se apne video ki speed increase aur decrease kar sakte hai aur Video me text,trim,audio,effect,rotation,filter,crop, background colour change kar sakte hai.
Agar aapko Android Mobile Se Youtube Video Editing Karne Ke Liye Best 3 App In Hindi post pasand aayi to social media par share kare aur agar aapke paas koi problem ho to comment section ke through puch sakte hai.

0 comments: