Blog Ke Liye Better Post Develop Kaise Kare

Hum sabhi ko pata hai ki koi bhi blog ho uska content hi main source hota hai visitor ke liye isliye hume apne content ka develop bahut hi ache tarike se karna chahiye Aaj is post me main aapko Better Post develop karne ke liye Awesome tips dene ja rha hun jo aapko ek better post write karne me bahut helpful sabit hongi. To chaliye jante hai ki Better content develop karne ke killer tips in hindi.

Blog Ke Liye Better Post Develop Kaise Kare

Kisi bhi blog me jitna unique & new content hoga utna hi wo blog jaldi hi success hoga isliye aapko apne blog par new post hi karni chahiye aur usme is post me bataye gaye baato ko care karna bhi jaruri hai warna aap better post develop nahi kar payenge.

Blog Ke Liye Better Post Develop Karne Ke Liye Killer Tips:


1.Aap jab bhi post likhe to full planning karke likhe aur hamesha post me simple word use kare jisse user kaapki post aasani se read kar sake aur samajh sake.

2.Post me kewal jyada se jyada words hi kewal use na kare usme image ya screenshoot bhi use kare isse reader ko post samajhane me aasani hogi.

3.Aap Post ki Headline me kam se kam 20 Character aur jyada se jyada 70 Character use kare.

4.Post me Heading ka istemal jarur kare. Heading tags 6 type ke hote hai H1 to H6, H1 heading sabse jyada powerful aur H6 sabse kam powerful hota hai.

5.Post ka URL simple rakhe aur short rakhe jyada se jyada 15 word ka.

6.Post me paragraph ka istemal karna bahut important hota hai kyuki agar aap paragraph ka istemaal karenge to readers ko post samajhne me aasani hogi.

7.Post me bullets points,Full stop,Number,Quoted text,Steps ko bhi add kare isse reader ko post samjhna bilkul easy ho jata hai.

8.Post me ek hi word use kare na ki jyada jaise ki Agar aap post me Aap word use kar rahe hai to full post me aap na ki kahin Aap to kahi Main,Tum, isliye ye cheej dhyan rakhe.

9.Aap jab finally post write karle to ekbaar check karlen ki ye post hamare reader ke liye kya helpful hogi aur kya ye jankari 100% correct hai ye decide karne ke baad hi Post Publish kare.

Conclusion

Yadi aap post me bataye gaye tips ko achi tarah follow karenge to aap badi aasani se ek better post develop kar payenge aur aapko bahut jald hi acha result milega.

Agar aapko Blog Ke Liye Better Post Develop Kaise Kare In Hindi post pasand aayi to social media par share kare aur agar aapke pas koi problem ho is post ke baare me to comment section ke through puch sakte hai.

0 comments: