Blog Ke Liye Adsense Apply Kab Kare

Hello dosto aaj mai bataunga ki  adsence ke liye kab apply karna chahiye.sabse pahle to mai ye batana chahunga ki agar aap apni site par mehnat ki hai aur original content dala hai. To aap adsence  account approve karwa sakte hai.

But bahut se logon ko yah pata nahi hota hai ki adsence ke liye kab apply kare.aur wah 2 ya 4 post likhke adsence ke liye apply kar dete hai. Aur jiska natija yah hota hai unka adsence disapprove ho jata hai.

Isliye aapko ye post ko pura padh lena chahiye. to chaliye jaante hai ki Blog banane ke bad Adsence ke liye apply kab kare?


Adsense Ke Liye Apply Kab Kare?

Jab aap adsence ke liye apply karte hai. Tab adsence sabse pahle niche di gayi jankari check karta hai.agar aapke niche di gayi saari jankari sahi hoga to adsence aapka account jald hi approved kar dega. Isliye mai to aapko yahi advice dunga ki niche di gayi saari jankari sahi ho tabhi aap adsence ke liye apply kare.

1.Traffic:Aap adsence ke liye tabhi apply kare jab aapke site par per day 200 pageviews google search engine se aaye visitor hone chahiye. agar aap is se kam pageviews hone par  AdSense ke liye apply karoge to By the way AdSense approved ho bhi sakta hai.

Magar kya fayda visitor kam hone se aapka earning bhi nahi hoga aur kam visitor ki wajah se aapka adsence bahut jald  disapproved ho jayega.

2.Content: Aap ke blog par post me share ki jane wali jankari ko hi blog content kahte hai. AdSense aapke blog ke content ko dekh kar hi aapko ads lagana allow karta hai.

So AdSense account banane se pahle aapke blog par kam se kam 3000-10000 words ka content hona jaruri hai. itne content ke liye aapke blog par 15+ post honi chahiye.

4.Copyright Content: Jo jankari aap apne blog ke post ke dwara dete hai wah jankari aapki likhi huyi honi chahiye agar aapke blog ke post me kuch bhi copyright mila to aapka AdSense account disapproved ho jayega.

4.SEO: AdSense me apply karne se pahle aap apne blog ko google, bing, yahoo, ask jaise search engine me jarur submit karle. Kyuki isse aapka blog search engine friendly ban jayega.

Aur iske wajah se blog par acha traffic hoga or AdSense account jaldi approved ho jayega.

5.Blog Design: sabse aham aur mukhya bat ye hai ki aap apne Blog ko ache se design karle.design karne ka matlab aap apne blog me jyada colourful widget na lagaye. Apne blog ko simple design kare.

Kyuki simple design visitor jyada pasand karte hai.aur haan apne blog ke sidebar me jaruri widget add jarur karle.or iska sabse bada fayda ye hai ki AdSense ko simple design hone ki wajah se aapke blog ko review karne me aasani hogi.or kam se kam samay me aapka adsence approved ho jayega.

6.Navigation bar: Dosto aap apne blog ke navigation bar yani menu bar me ache se link dale. Aur haan usme sub menu jyada na dale. Kyuki isse aapka adsence account disapproved ho sakta hai. Kyuki mere saath aisa ho chuka hai.

7.Create Page: AdSense ko apply karne se pahle aap apne blog par about us, privacy policy, contact us,disclaimer page bana le. Kyuki google search engine or AdSense dono ke liye ye page jaruri hai.

8.Sitemap: Apne blog ka sitemap bana le or sitemap ko googe, bing or baki search engine se submit kare. sitemap me aapke blog ki sabhi post, pages ke links add hote hai. jisse AdSense ko blog ki jankari pata karne me aasani hoti hai.

9.Traffic Rank: AdSense account banane ke liye aapke blog ki ranking 5,00,000-10,00,000 ke bich honi chahiye. isse jyada ranking huyi to ho sakta hai AdSense account approved na ho.

10.Author Talent:Jab aap AdSense ke liye apply karte ho to AdSense aapke blog ko review karta hai.yani aapke blog ki sari data check karta hai. usme AdSense aapke talent yani post likhne ka tarika kaisa hai  or agar aapki post likhne ka talent AdSense ko pasand na aaya to bhi aapka AdSense account disapproved ho jayega.

I hope ab aapko Blog banane ke baad adsence ke liye kab apply kare? yah samajne me koi dikkat nahi aayi hogi. To fir der kis bat ki aap apni ye sab galti sudhar kar adsence ke liye apply kare.

Yah post social media par apne friends ke saath jarur share kare.aur hamari agli post ki jankari pane ke liye aap humari site ko subscribe kar sakte hai.

0 comments: