Godaddy Se 99rs Me Domain Name Kaise Khareede

Aaj ke samay me blogger aambat ho gayi kyuki blogger par blog banana bilkul free hai. Isliye blogger par koi bhi 5 minute me blog bana sakta hai.but lekin hume use website banane ke liye .com ya .in ki jarurat padti hai.to aaj yahi bat hogi ki blog ko website hum kaise bana sakte hai.

Blog ko website banane ke liye hume domain name ki jarurat padti hai jo aapko godaddy par lagnhag 99rs me abhi mil jayegi.to chaliye jante hai domain name kaise khareede.lekin isse pahle hum ye jan le ki domain name kya hai.


Domain name kya hai?

Domain name ka matlab aapke blog ka address jisse aapka blog khulta hai isse aapke site ki izzat badh jati hai aur isse aap ke site par acha effect padega.aur aapko apne site par kam karne me acha lagega.

Domain name kahan se khareede?

Doman name khareedane ke bahut se website hai but mai usi website ke bare me bataunga jo trusted ho.aur mai jab bhi domain leta hoon to kewal godaddy se isliye aap bhi godaddy try kar sakte hai.kyuki godaddy se domain 99rs me abhi mil jayega.

Mai yahan par godaddy se domain lene ka bat kar raha hoon.waise bhi aap kisi bhi site se domain khareed sakte hai.to chaliye jante jante hai ki godaddy se 99rs me domain name kaise khareedate hai.

Godaddy par account kaise banaye?

Sabse pahle aap godaddy.com par jayiye.sign in par click kare.


1.sign par click kare.

2.Ab create my account par click kare.

Create my account par click karne ke bad. Ek new popup window open hogi. Aap niche screenshot me dekh sakte hai.



1.yahan aap apni gmal id type kare.
2.yahan par aap apna username dale yaad rahe aage bhi aapko isi usernsme se log in karna hai.
3.yahan apna naya password dal dijiye.
4.yahan apne liye 4 word ka pincode daalana.
5.form complete bharne ke bad create my account par click kijiye.

Create acount par click karte hi. Godaddy par account ban jayega. Ab aapko domain register karna hai.

Godaddy se 99rs me domain registration kaise kare?


Step:1


1. First godaddy.com par jaiye aur 99rs wale offer click kariye.
2. Ab search box me jo domain chahiye uska name type kijiye.ab availability check par click kijiye agar aapka domain kisi ne register nahi kiya hoga. To ye massage show hoga. YES YOUR DOMAIN IS AVAILABLE.

Agar ye massage show hoga tabhi aapko ye domain mil sakta hai.


Ab continue to cart par click kijiye.

Ab jo new page open hoga. Usme sab setting no hi rahne do. Aur niche
Continue to cart par click kijiye.

Step:2


1. Yahan 1 year par click kijiye.
2.Ab proceed to checkout
Par click kijiye.

Step:3. 

Jaiae hi aap Proceed to checkout par click karoge. Uske Turant bad ek new popup window open hogi.aap niche screenshot me dekh sakte hai.


Pichle step me humne to godaddy par account  create kar liya hai. So ab hume sign in karne ki jarurat nahi. Ab aap login kare aur continue par click kariye.

Step:4

Continue par click karte hi ek new popup window page open hogi. Jisme aapko apni detail fill karni hogi.



1. Sabse pahle aapko apna name fill karna hai.
2. Is option me aspko apna email address fill karna hai.
3.Aap jis country me rahte hai wo select kare.
4.yahan apna complete address fill kare.
5.yahan apna district code add kijiye.
6.yahan apna city name fill kare.
7.apna state select kare.
8. Country code select kare and mobile number dal dijiye.
9.Ab debit card par tik kare.
10.Captcha code sahi fill kare.
11.Finally  PLACE YOUR ORDER par click kare.

Step:5

Aapke PLACE YOUR ORDER par click karte hi ek new page open hoga. Niche screenshot me dekh sakte hai.


1. Yahan aap jis bank ke atm card se payment karna chahte hai.us bank ka naam select kare.
2.Debit card ki expire date select kare.
3. Card ke cvv number likhe. Cvv number 3 word ka hota hai. Jo card ke piche black line ke last me likha hota hai.
4. Last me MAKE PAYMENT par click kare.

Step:6

Ab aapne jis number se bank account khulwa rakha hai. Us number par ek massage aayega usme OTP code honge jo aapke windows me OTP code box me daalne hai.

1. OTP code dale.
2. Submit button par click kare.

Payment hote hi payment success hone ka massage show hoga. To ab aap dimain register kar chuke hai.to ab aapki sirf domain ko blog me add karna hoga uski jankari niche di hui hai.

Agar aapko ye post pasand aayi to share jarur kare.aur haan apne friends ko iske baare me jarur bataye.

0 comments: