YouTube vs blogging me kaun sa platefrom une

Aksar newbie inme bahut hi jyada confuse rahte hai ki blogging acha hai ki youtube to dosto mai unse ye kahna chahta hoon blog ya youtube dono hi best hai paisa kamane ke liye .india me bahut se log hai jo dono se acha paisa kama rahe hai.aur kuch log to aise hai jo full time job ki tarah kam kar rahe hai.

Par newbie ke liye ye topic (blogging vs youtube) confuse karta hai ki wo kya chune. To Isliye aaj me aapko in dono ke baare me detail se hindi me bataunga.taki aap koi ek topic chun sake.to chaliye jante hai ki Blogging vs youtube me kauna sa platefrom chune?

Blogging vs youtube me kaun hai acha

Blogging vs Youtube ?

Dosto agar aap in dono topic ko lekar confuse hai aur sochte hai ki hum kya chune to aaj mai aapki yah concussion dur kar dunga.

Blogging ke liye requirment?

1. Domain name.

2. SEO ka acha knowlege hona chahiye.

3. Writing & communication skill achi honi chahiye.

Youtube channel ke liye requirment?

1. Thodi bahut Video editing ka knowledge.

2.Youtube SEO ki jankari agar nahi hai to ho jayegi.

In dono ki requirement jannae se aapko pata hi chal gaya hoga ki youtube channel banana thoda aasan hai. Ab jaante hai ki in dono ke positive and negative point.ab in dono ki jarurat ki bat karle.

Blogging point:

1.Agar blogging ke positive point ki baat kare to sabse bada positive point ye hai ki khud ka domain name aur hosting hone ke karan koi bhi humara blog band nahi kar sakta.

2.Blog par hum koi bhi ads network use kar sakte hai.

3.Blogging me reader ke sath direct connection ban jata hai aur author aur reader kafi close ho jate hai.

4.Blogging me SEO, Backlink, Domain, Hosting, Theme etc. ka knowledge hona bahut jaroori hai.

5.Blog se hum khud ki Email list (Newsletter) bana sakte hai. jise kabhi bhi paryog kiya ja sakta hai bina blog ke bhi.


2. Youtube point.

1. Youtube me thoda sa bhi humse galat ho jaye to channel suspend ho sakta hai. abhi Bahut logo ke Channel delete kiye hai Youtube ne.

2. Youtube me hum sirf ads ke liye adsense hi paryog kar sakte hai.

3. Youtube channel me aisa bahut jyada hota hai. Ki jyadatar viewer to channel ke admin ko jante bhi nahi hai.

4.Youtube me jyada knowledge ki jaroorat nahi padti hai.

5. Youtube me hamara jyada data pack kharch hota hai.

Blogging/youtube kisme hai jyada paisa?

Blog ya youtube dono me paisa kamane ke liye adhiktar adsence hi use karte hai.aur adsence me earning 2 hi chizo par depend rahti hai.


1. Youtube me views:

Youtube par blogger ke mukable 10 se 15 guna jyada view aate hai but ads view ki baat karen to ek blog page par hum kayi ad laga sakte hai jisse iske view bhi pageview se 5-6 guna ho sakte hai.

2. Blogger CPC aur RPM:

CPC ( Cost per click) aur RPM (1000 ad view par earning) ke maamle me blogging jyada best hai kyonki blog ka CPC aur RPM Youtube se high hota hai. uska karan ye hai yaha jo main High CPC Keywords hai ham unko achi se use kar sakte hai.

Blogging vs Youtube : Conclusion

Ab aap sab ke man me baat aati hai ki dono me se best kaun sa hai aur hume kise chunna chahiye to mein aapko vahi chunne ko kahunga jisme aapka jyada interest hai.Yani ki Jis me aap aaj ya 3 saal baad bhi bor na ho. Aur best bhi vahi hai jis par daily naya de sako aur apne visitor ko khus rakh sako.

Mai aapko yah advice dunga ki aap  dono ko ek sath use kare. Isse aapko aur adhik fayda hoga.Aapko karna ye hai ki ek hi topic se related blog aur Youtube channel banana hoga aur dono par daliy same post karen. Isse aapka double promotion hoga.

To friends,aapko Blog vs youtube me kaun sa platefrom chune  post kaisi lagi comment karke jaroor batayen aur haan is post ko social media par share karna na bhule.

0 comments: