Dosto Aaj ham aapko batane ja rahe hai ki Apne Blog par template kaise upload karte hai.Iski madad se aap apne blog ko customize kar sakte hai Customize karne ka matlab hota hai blog ko apni marzi se or professionally design karna taki aapke visitors ko aapki blog acchi lage or wo response kare.Ek accha blogger templete upload karne se visitors aapki blog par dubara se aana chahenge, Templates wo design hote hai jo designer dawara banaye jate hai, Jise aap apni blog par un templetes ko upload karke blog ko Responsive kar sakte hai.aur isse visitors aapke site ko pasand karenge.Aur aapke site ke visitor bhi badhenge.
Blogger blog par Template kyu upload kare.
Blog banane ke baad uspar sabse pahle hum badiya badiya article daalte hai, taki log usko padh sake lekin ye article logo tak nhi phuche to kya faida, Isme hamare blog ka tamplate bhi bhut bada roll aata hai, Jo humare blog ka look acha dikhata hai aur logo ko attract karta isliye hume apne blog ko ek acha tamplate upload karna jaruri hai.Wahi tarika me aaj aapko bataonga ki kaise aap apne blog par templates ko upload karke unhe customize kar sakte hai or accha bana sakte hai,Agar aapne ek accha sa template choose karke use upload kar diya to aapko apni blog acchi lagne lagegi or aapka intrest blogging me or badh jayega, Aapko koi accha sa template choice karna hoga jo fast loading, SEO Ready, Responsive, Mobile Friendly aise kaise sare features template me hone chahiye.
Template ko Download karne ke liye ek achi website Gooyaabitemplates.com ispar par aapko bhut se free theme mil jaayege Apne blog ke liye Template ko Download karne ke baad aapko kya karna hai isliye aap mujhe Step by Step Follow kare.
Read also:
BLog ka template download karne ke liye top 8 website
Blogger Blog Par Template Kaise Upload Kare.
Step 1. www.Blogger.com par jakar Login karo
Step 2. Apne Blog ke Dashboard me jaye.
Step 3. Template section me jaye aur Backup/Restore ki button par click kare.
Step 4.Ab ek popup window khulegi,Apna template upload karne se phele Download full template par click karke apna purana template Download kar le,maan lo hamare naye template me agar kuch dikkat aai to ham vapas apna purana upload kar sake.
Step 5. Apna Template Choose File par click karke computer me se template Select karke upload kare.
Note : Jo Blogger Template ki file hoti hai vo .XML formate me hoti hai.
Step 6. Select karne ke baad Upload ki button per click karke save karde.
Dosto ab aapka template upload ho gya to dosto ab aap 2 minute nikal kar ise social media par share kare.aur haan is website ko apne friend ko jarur bataye.



0 comments: